Dialogues courtesy Nilesh Mankikar


			

			    G.P. SIPPY Production

Director : Ramesh Sippy Dialogues : Salim-Javed Lyrics : Anand Bakshi Music : R. D. Burman
CAST

Thakur : Sanjiv Kumar Veeru : Dharmendra Basanti : Hema Malini Radha : Jaya Bhaduri Jaydev : Amitabh Bachhan Gabbar : Amjad Khan Ramlal : Satyen Kapoo Imam : A. K. Hungal Ahmed : Sachin Surma Bhopali : Jagdeep Sambha : McMohan Kalia : Vijoo Khote
(Scene : railgaadi station pahuchti hai. Jailer sahab niche utarte hai.) Jailer : Thakur Sahab ...... Ramlal : Aaeye jailer sahab (dono ghode par Ramgadh ki taraf nikalte hai. Aur title music shuroo hota hai. sath me titles. Dono Thakur ki haweli pahunchte hai.) Jailer : Thakur sahab, aap ka khat milte hi maine socha aap ne mujhe yaad kiya hai. agali gaadi se chala aaya. Thakur : Jailer sahab, mai aap ko ek takalif dena chahata hoon. Jailer : Haa, haa, jaroor. koi bhi kaam ho. Thakur : Mujhe do aadmiyon ki jaroorat hai. Jalier : Do aadmi? Thakur : Ramlal.....(Ramlal hands over the photographs to jailer). inhe pahachante hai aap? Jailer : Thakur sahab, Shayad hi koi aisa jail ho jis me ye dono naa gaye ho. ye Veeru hai aur ye Jaydev. dono ke dono pakke badmaash. ek number ke chor .Chhate huwe gunde hai. Thakur : Jaanata hoon.... Lekin Kaam kuchh aisa hai ki mujhe aise hi aadmiyon ki jaroorat hai. Jailer : Thakur sahab , mai ye to nahi jaanta ke aap ko kya kaam he lekin itna jaroor jaanta hoon ke ye dono kisi kaam ke nahi . Thakur : nahi jailer sahab, agar ek taraf in me ye sab kharaabiyaa hai to doosari taraf kuchh khubiyaa bhi hai. Jailer : Khota sikka to dono hi taraf se khota hota hai. Thakur : SIKKE AUR INSAAN ME SHAYAD YEHI FARK HAI.... mujhe yaad hai. (INCOMPLETE)
(Veeru and Jay steals a motor cycle with side seat and then a song YE DOSTI HAM NAHI TODENGE TODENGE DAM MAGAR TERA SAATH NA CHHODENGE ......... next scene : Surma Bhopali apne dookaan pe ek aadmi ko lakdi bech raha hai.) aadmi : Kya surma bhopali, tum to aur bhi lakadi kam kar rahe ho. surma : are, kam nahi karoonga to kya barhaoonga? Lo taraajoo tedha huwa jaa rihya hai aur tum kahte ho ke kam na karo lakadi. Are uthaoo apni lakadi aur nikalo paise. aadmi : ye lo do rupiye ka note. surma : wo to mai bhi dekh rihya hoon. Lekin kharaa hai ki nahi? .... haa, kharaa hai. Bahot khushi ki baat. Achha saab,to Khuda Haafiz. aadmi : baaki ke paise to waapas kar do. surma : paise? Kaise kaise paise maang rahe ho? aadmi : woh note to do rupiye ka tha. surma : are, to ye lakadi bhi do rupiye ki hai. aadmi : do rupiye me itni si lakadi. surma : to kya do rupiye me saaraa jungle kharidne nikale the aap. dekho miya, ab bahot ho gaya. Aap yahaa se rawaangi raaj do, nahi to mera naam bhi surma bhopali aisa hi nahi hai. Samaze? (aadmi jaataa hai, aur surma andar jaata hai.) surma : do rupiye me jungal kharidne nikale the. subah subah dimaag kharaab karne chale aate hai. ...... Aur inko dekho, are Chaand miya jab dekho baithe shayari karte rahte ho. Baahar dekho, truck se maal utaraa hai ki nahi?.......(ab us ko do aadmi dikhte hai jo us ke saamne peeth dikhate huwe khade hai.) Lo lo, are yahaa koi tamashaa ho rihya hai? Musaafir khaanaa hai? kaun log ho aap? (ab wo dono uski taraf mudte hai). Are khaa, aap aur yahaa? Veeru : Kaise ho surma bhopali? surma : mai to aap ki duwa se khairiyat se hun. Lekin aap log ye kar kya rahe ho? idhar aao. Pulice ne yahaan aap dono pe do hajaar rupiye ka inaam rakha hai. Agar kisi ne dekh liya to aap ke saath mai bhi lapete me aa jaaoonga. Aap to yahaan se nikal lo. Jay : Surma Bhopali, ham jail jaana chahate hai. surma : alla aap ki tamanna poori kare. Bhopal ho ta to hum waise hi aap ko do minute me andar karwaa dete. Hamara naam surma bhopali aisa hi nahi hai. lekin yahaan hamaari kya jaroorat hai? yahaan to pahale se aap ke naam ka waarant nikala huwa hai. Jay : Lekin ham chaahate hai ki TUM hame jail le jaao. surma : Kya keh rahye ho? Jay : ham par do hajaar rupaye ka inaam hai, wo pooraa ka pooraa tumhe mil jaaye. Veeru : Aur jab ham chhoot kar aaye to us me se aadhaa hame de dena. surma : kya keh rahye ho aap? mai to kehta hoon, aap ye paan khaalo. bahot achchha paan hai miyaa, bahot maje ka paan hai. Na jaane kaha kaha se aa jaaaaate hai?!!
(Kaaliya aur do aadmi waapas aate hai) Gabbar : Hmmmm.... Kitane aadmi the? Kaliya: sardar.. do aadmi the. Gabbar: hmmm.. Do aadmi ? .... SOOWAR KE BACHCHO.. woh do the aur tum teen .. phir bhi waapas aagayeye . khaali haath.. kya samaz kar aaye the?.. sardar bahot khus hoga sabasi dega kyoon? DHIKKAR HAI ... Arre O Saambha... kitna inaam rakkhe hai sarkaar ham par? Sambha: Poore pachaas hajaar.. Gabbar: Soona.. poore pachas hajaar.. aur yeh inaam isliye hai ke yaha se pachas pachas kos door gaanw me jab bachcha raat ko rota hai to maa kahti hai beta soja ..soja nahi to gabbar singh aa jaayega. Aur yeh teen haraam jaade..ye gabbar singh kaa naam poora mitti me milaay diye..iski sajaa milegi.. baraabar milegi..( ek aadmi se revolver leta hai aur usse poochhta hai) kitni goli hai iske andar? Aadmi : (woh chauk jaata hai) Gabbar: KITNI GOLI HAI? Aadmi : Chhe sardaar (six) Gabbar: (khud se) chhe ? ( jor se) chhe goli.. chhe goli hai iske andar.. chhe goli aur aadmi teen... bahot naa insaafi hai yeh...( teen goli hawa me uda deta hai) ab theek hai. haa ab theek hai.. ab iske teen khaano me goli hai teen khali.. ab ham issko ghumaege....(...) ab kaha goli hai kaha nahi? .. hamko nahi pata .. hamko kuchh nahi pataa. is pistaul me teen jindagi teen maut band hai... dekhe kisse kya milta hai? (pahale aadmi ke taraf jaake uske sir par revolver chalata hai lekin goli nahi lagati) bach gaya saala ...( doosare ke sir pe revolver chalata hai .. woh bhi bachataa hai) yeh bhi bach gaya..(teesare ki taraf jaake) teraa kya hoga kaaliyaa? Kaliya: ..s..sardar... maine aapkaa namak khaayaa hai sardaar.. Gabbar: ab.. goli kha ( revolver kaliyaa par chalata hai use bhi goli nahi lagati) kamaal ho gaya... Teeno bachh gaye ( ab gabbar hansane chaalu karataa hai) yeh teen h.. ha ha .. teeno haramjaadon ko .. goli nahi lagi( ab gabbar jor se hans rahaa hai) (baaki sab hasnaa chaalu karate hai.... aur achanak teen goliyon ki aawaaj aati hai aur woh teen aadmi mar jaate hai... ekdam sannataa chha jaata hai.. thodi der baad) jo dar gayaa .. samazo mar gayaa.
Basanti : Prabhu , sansaar mai aisi koi baat to hai nahi jo tumse chhoopi ho. tum to sab jaante ho. Dekho mai ye nahi kahati ke tumhe yaad nahi hoga , lekin phir bhi apni taraf se kah denaa achchaa hotaa hai. Aaj somwaar hai. bas ek chhotisi binati hai prabhu. Dekho .. jaraa Dekho ye taange ki lagaam khinchate khinchate haath aise ho gaye hai jaise ghodi ke khoor. Arre tumhare liye kya mushkeel hai? bas aisi jagaah baat lagaao prabhu ke basanti raani ban ke raaj karay , yu ke majaa aa jaae jindagi kaa. aage jaisi tumhari marzi. Veeru( Shivji ke murti ke pichche se bolta): Kanyaa. Basanti : Yu ke ye kaun bola? Veeru : Ye ham bol rahe hai. Basanti : Prabhu , TUM ? Chamatkaar ho gayaa. Veeru : Hamne tumhare liye war dhoond liyaa hai , kanyaa. Basanti : Ek hi somwaar me dhoond liya. waah prabhu. Yu ke tumne sochaa hai to thik hi sochaa hoga. lekin phir bhi agar naam bataa dete ... yaa agale somwaar aaoo. jaisa tum kaho prabhu. Veeru : war kaa naam hai VEERU. Basanti : VEERU? prabhu, ye meri jindagi ka sawaal hai. jaldi se kaam mat lenaa. bhale chaar somwaar aur lag jaaye. ... dekhane me to thik hai, lekin saalaa bahot hoshiyaari maartaa hai. Veeru : CHOOP RAHO KANYAA. Basanti : Befijul baat karne ki aadat to mujhe hai nahi prabhu. jo tumhaari aagyaa. Veeru : Yadi hamaari aagyaa ka paalan nahi kiyaa to saari umra kanwaari baithi rahogi. Basanti : (dar ke) haa prabhu. Veeru : Aur suno.. Basanti :( Jay pichche se Basanti ki peeth thapthapaata hai aur basanti pichche dekhate huwe) Yu ke ... ( Amitabhh use choop rahane kaa ishaaraa kartaa hai aur use mandir ke pichche le jaataa hai) Veeru : ( is sab baat se anjaan Veeru apne hi dhun me bolta hai) Yu ke dhanno ke saath taangaa chalaati rahogi.(Jay Basanti ko mandir ke pichche le jaake veeru kya kar rahaa hai ye dikhaa deta hai aur nikal jaataa hai.) Hamaari aagyaa hai ke jaao aur apni mausi se khule shabdon me kah do ke veeru ko hi tumhe jeewan saathi banaanaa hai. Aur aaj se veeru kaa aadar karnaa tumhaaraa dharm hai. is liye ke usi ke charano me tumharaa swarg hai.Yadi tumne use prasanna kiya to ham prasanna ho jayenge. aur yadi tumne use krodheet kiya to ham krodheet ho jaayenge. Basanti : Achcha.. Veeru : (pichche dekh ke ) sh... ( phir bolnaa chaloo kartaa hai) is liye jaao...( ab use pataa chal gayaa kya huwaa. phir) (jooth hasate huwe) basanti ... ( phir thodi hansi) basanti.. maine sochaa ... yunhi.. Basanti :(gussa hoke) tumne sochaa ye ke ham to gaaon ke rahanewaale hai. is liye ham ko akal to hai nahi. aur tum hame bana loge ulloo. Tum bahot hoshiyaar samazate ho apane aap ko magar basanti tum jaison ko haat me bech kar aayegi.. haa. ab tum yahaa baith kar ramaao dhuni , basanti chali apane ghar. Veeru : Basanti .. Basanti , suno to.... ( Aur phir gaanaa shuroo hotaa hai - KOI HASEENA JAB ROOTH JAATI HAI TO......)
Veeru : Jay, Jay : Hmm.. Veeru : aaj maine kuchh sochaa hai. Jay : hmm, kabhi kabhi ye kaam bhi karanaa chahiye. Veeru : Aaj maine ek bahot bada faisalaa kiyaa hai. Jay : Mai bataau tera bahot bada faisala? Tu Basanti se shaadi karna chahata hai. Veeru : Arre, wah wah wah . Tu mera sachha yaar hai. ek yaar hi yaar ke dil ki baat jaan sakata hai. Jay : Aur woh yaar ye bhi jaanta hai ki is saal me shaadi ka ye tera aathawa faisala hai. Veeru : Yeh final hai yaar. Jay : Final ? ... subah se daaru pe rahaa hai na? Veeru : Yaar Partner, mera ek kaam kar de.. Jay : Kya? Veeru : Woh Basanti hai na us ki mausi ke paas jaakar mere rishte ki baat kuchh is dhang se kar ke mausi shagun leke aajaaye. Jay : Mai kyun karoo? Veeru : Aare, Ladkewaale hi to jaate hai ladkiwaalon ke ghar. Jay, Aur phir is duniyaa me tere siwa mera hai kaun? Jay : Dekh, shaadi toone karni hai, tu jaa ke baat kar. Veeru : Jara Soch .... Shaadi ke baad ek ghar hoga. Jay : Ghar to tera hoga. Veeru : ek biwi hogi. Jay : teri hogi. Veeru : 7-8 bachche honge Jay : tere honge. Veeru : ... par chacha chacha to tumhe hi bolenge na. Pyaar se tumhari goad me khelenge, tere kandhon pe zula zulenge. Aur totli jabaan me bolenge taataa taataa hamko kahaaniyaa sunaao... Jay : Hmmm... yaane shaadi ke baad tere ghar me mujhe aayaa ki naukari milnewaali hai. Veeru : .. samazaa, tu mera dost nahi. laanat hai aisi do..(daaru ki botal phodate phodate ruk jaata hai . do ghoont maar leta hai.) Isi liye akad rahaa hai na, ke mera ye kaam tere bagair doosaraa koi nahi kar sakataa... aaj meri maa hoti to meri kab ki shaadi ho chuki hoti. Mere chhote chhote baal-bachhe hote. Aaj meraa baap hota to band baaje ke saath meri shaadi kar ke laataa. Mere bhai bahan hote woh muasi ke pair chhoo kar bhi basanti ki shaadi mujh se karwaa dete.. Lekin ye mat bhul jay..Jiskaa koi nahi hota uska bhagwaan hota hai, ... Bhagwaan..(phir se daaru pita hai). Tu woh dost nahi rahaa. Tu nahi chahataa mai boore dhande chhodkar ghar-grihasti basaa sakoo. Maine tujhe kyaa samazaa tha jay lekin tu.. tu kya nikala?... Jay :( a big pause) (to him self) saalaa nautanki.... ghadi gadhi draamaa karta hai.(to Veeru) Chal bas bas bahot ho gaya hai, mai mausi se jaake baat kar loonga. Veeru : sach?
Mausi : Arre beta, bas itna samaz lo ke ghar me jawaan beti seene par pathhar ke sil ki tarah hoti hai. Basanti ka byaah ho jaaye to chain ki saans loo. Jay : haa sach kaha mausi aapne. bada bojh hai aap par. Mausi : Lekin beta, is bojh ko koi kunwe me to phaik nahi deta.Bura nahi maananaa , itanaa to poochhanaa hi padataa hai ke ladke kaa khaandaan kyaa hai uske lachhchhan kaise hai, kamaataa kitnaa hai? Jay : Kamaane ka to ye hai mausi,..,ke ek baar biwi bachhon ki jimmedaari sar pe aa gayi to .. kamaane bhi lagegaa. Mausi : To kya abhi kuchh bhi nahi kamaataa? Jay : Nahi nahi ye maine kba kahaa mausi, kamaataa hai lekin,... ab roj roj to aadmi jeet nahi sakataa na. .. kabhi haar bhi jaataa hai bechaaraa? Mausi : haar jaata hai? Jay : haan mausi ab ye kambakht juwaa cheej hi aisi hai ab mai kyaa kahoon ? Mausi : heynnnn. to kya juwaari hai? Jay : chhi chhi chhi chhi mausi, woh aur juwaari na na. woh to bahot hi achchha aur nek ladka hai.Lekin mausi, ek baar sharaab pi li na phir, achchhe bure ka kahaa hosh rahataa hai. Haath pakad ke bitha liyaa kisi ne juwaa khelane. ab isme bechare Veeru ka kya dosh? Mausi : Thik kahate ho beta. juwaari woh sharaabi woh lekin, uska koi dosh nahi. Jay : Mausi aap to mere dost ko galat samaz rahi hai. woh to itanaa seedha aur bhola hai. aare basanti se uski shaadi karke to dekhiye, ye juwe aur sharaab ki aadat to do din me chhoot jaayegi. Mausi : Arre beta, mujh budhiyaa ko samaza rahe ho. ye sharaab aur juwe ki aadat kisi ki chhooti hai aaj tak. Jay : Mausi aap Veeru ko nahi jaanati , wishwaas kijiye wo is tarah kaa insaan nahi hai. Ek baar shaadi ho gayi to woh us gaane-waali ke ghar jaanaa band kar degaa. bas, sharaab apne aap chhoot jaayegi. Mausi : Hi hi, bas yehi ek kami raha gayi thi. to kya kisi gaane-waali ke ghar bhi aanaa jaanaa hai? Jay : To isme kaunsi buri baat hai mausi. arre , gaana soonane to raajaa- mahaaraajaa unche unche khaandaan ke log jaate hai, haan. Mausi : Achchha ! to beta ye bhi bataate jaao ki tumhare yeh gunwaan dost kis khaandaan ke hai? Jay : Bas mausi, khaandaan ka pataa chalate hi ham aap ko khabar de denge. Mausi : Ek baat ki daad doongi beta. bhale sau buraaEyaa hai tumhare dost me ,phir bhi tumhare munh se us ke liye taareefe hi nikalti hai. Jay : ab Kya karoo mausi.. mera to dil hi kuchh aisa hai.(pause)... To.. mai ye rishtaa pakkaa samazoo? Mausi : Pakkaa? . bhale saari jindagi ladaki kuwaari baithi rahe. lekin mai aise aadami se Basanti ko nahi byaahanewaali. Sagi mausi hoon. koi sautelee maa nahi. Jay : Ajeeb baat hai. mere itane samazaane par bhi aap ne inkaar kar diyaa.. Bechaaraa Veeru... naa jaane kya karega?
(Veeru unchi paani ki taanki pe chadh gaya hai, nashe me hai, aur haath me daaru ki botal hai.) Veeru : Kood jaaoonga, phaan jaaonga, mar jaaoonga.. Hat jaaOO... log : Are are .. ye kya kar rahe ho? Veeru : Wohi kar rahaa hun bhaiya jo majanoo ne lailaa ke liye kiyaa tha, raanzaa ne heer ke liye kiya tha romeo ne juliet ke liye kiya tha soosaaEt... SOOSAAET... shankar : Arre bhai, ye soosaat kya hota hai? ek aadmi: angrej log jab marate hai to use soosaat kahate hai. shankar : lekin ye angrej lok marate kyun hai?> aadmi : woh.. ,(veeru se) arre bhaai , baat kyaa hai, tum soosaat kyun karanaa chaahate ho? Veeru : Yeh mat puchho chaachaa , tumhaare aasoo nikal aayenge. Ye badi dukh bhari kahani hai. Is storee me emotion hai, drrraamaa hai trrragedy hai. Yeh Basanti hai naa is se mera lagan honewaalaa tha chaachaa. Lekin iski buddhi mausi ne bich me bhaanji maar di. Ab mai is dooniyaa me nahi rah sakata. Gaanw-waalo tum ko mera aakhari salaaaam, good bye , GOOD BYE. Shankar : Arre bhai ye good baae kya hota hai? aadmi : Angrej log jab jaate hai to good baae kahate hai. Shankar : Lekin ye angrej log jaate kaha hai? Veeru : Gaanw-waalo mai jaa raha hoon, Bhagwaan mai aa raha hoon. log : arre , arre ruk jaao, ruk jaao.. Veeru : ruk jaaoo? tum log... jor dete ho to .. thodi der ruk jaata hoon. Basanti : Arre wah .. arre,Tum Kaise Dost ho ( Jay ke paas basanti jaati hai.) tum yahaa baithe ho... Jay : kyun, kya huwa? Basanti : mujhe kya maaloom kya huwa? woh dekho tumhaaraa dost kaha chadh gaya dekho .....( Jay dekhata hai).. dekha dekha tumne? Jay : Haa, dekha. kuchh nahi hoga. Jab daaru utaregi to ye bhi utar aayega. Basanti : yun ke maine ek se ek jaalim dekha magar tum jaisa patthar dil dost nahi dekha jo .. (she runs towards Veeru).. Arre Sambhaalo. Veeru : Mera koi nahi is duniyaa me na yaar na dost. is liye mai jaan dekar rahoonga. lekin ek baat sun lo gaanw-waalo, jaha koi premi jaan deta hai, waha bhayankar kisam ki musibatey aati hai. log : Kaisi musibatey aayengi ? Veeru : Akaaal , sukhaa , charchak , haijaa, aur ye sab is boodhiyaa ki wajah se aayengi is budhiyaa ki wajah se. Mausi : he ram Veeru : Dekh lena gaanw-waalo, when i death pulice coming. pulice coming, budhiyaa going jail. In jail ,budhiyaa chakki pising and pising and pising and PISING(he is about to fall) log : Arre mausi haa kar do nahi to ye jaan de dega. Mausi : arre kaise haa kah doo Deenaanaathji. Veeru : Arre gaanw-waalo, is budhiyaa se darkhwast ki koi jaroorat nahi hai. ab mai rukanewaalaa nahi hoon. mai jaan dekar rahoonga hmm. 1..2..3..4..5..6..7 Basanti : Mausi ,Haa kah do mausi. log : agar mar gaya to court kachery ka chakkar ho jaayegaa mausi. Mausi : arre bhaiyaa mai to kabhi court kachery nahi gayi. log : to phir haa kah do muasi. Mausi : (small pause) VEERU THAHAR JAA ,THAHAR JAA. mai taiyaar hun. log : Arre mausi ne haa kah di bhai niche aa jaao. Veeru : Mausi se kaun shaadi karega saalo, mujhe to woh dhanno.. o .. Basanti se shaadi karani basanti se. Basanti : Veeru, mai tum se shaadi karane ke liye taiyaar hoon, ab nichhe aa jaao. Veeru : He He he he, arre gaanw-waalo sunaa tumne bhaaeyo, mausi bhi taiyaar hai basanti bhi taiyaar hai.is liye marna cancel. Mai nichhe utarataa hoon mausi, mausiji, mai nichhe utrungaa.